Computer me kisi bhi Drive Ko Hide Kaise Kare(Step to step guide)

Share:
 Hello Readers..  Do you Know that u can also hide Drive of your computer. Yes aap apne Computer ki kisi bhi Drive[C,D,E,F,etc] ko hide kar sakte h.
How To Hide Drive From Computer


Aaaj me aapko ek aisi Trick batane jaa raha hu jisse aap apne Computer me kisi bhi Drive ko hide kar sakte h.agar aap chahte h ki apke computer me koi Drive aisi h jisse aap nahi chahte ki koi aur usme jaye to aap use Hide kar sakte h jisse bo Drive kisi ko dikhegi hi nhi.

Saayad aapko yeh nhi pata ho magar aap apne Computer me kisi File&Folder ko hide karna to jaante hi honge. but aaj aap jaanenge ki aap Computer ki Drive[(Partition Drive C,D,E,F,etc)] ko hide kaise karte h.

baise Internet par bahut sare software already h but aaj ki yeh Trick bina kisi Software ke bahut hi easy method me h. bas aapko neeche diye hue steps ko dhyaan se Follow kare.


Computer me kisi bhi Drive Ko Hide Kaise Kare :-

Step 1 :- Sabse Pehle aap apne Computer me Start button Press kar Search box me cmd  type kar ke enter kar de. ab aapke aapke saamne ek Window open hogi usme aap Diskpart type kare aur enter button Press kar de.
ab aapse ye Yes/No puchega aap Yes par click kar de.

How To Hide Drive From Computer


Step 2 :- ab aapke samne ek new window open hogi aap usme list volume type karke enter button press kar de.
 ab neeche aapki saari Drive show hone lagengi. ab agar apko D Drive ko hide karna h to aap type kare select volume D .
agar aapko Drive C ko hide karna h to select volume C type kare.

ab yaha aapko Remove leter D type karna h. bas aapki Drive hide ho chuki h.(see image below)

Computer me kisi bhi Drive ko hide kaise kare

Computer me kisi bhi Drive ko Unhide kaise kare :-

ab aap ye soch rahe honge ki agar ye hide ho gayi to bapas Show kaise hogi. to usme koi badi baat nhi h aap neche diye hue Step ko follow kare.

Step 1:- Start button par click karke search box me cmd type karke enter button daba de. jab cmd open ho jaye tab Diskpart type karke enter maar de. now click Yes and then again type list volume aur enter maar de. ab select volume D type karke enter press kar de.

bas aapko upar bale hi steps Follow karne h bas ab aapko karna yeh h ki jaha aapne Remove leter D type kiya tha baha par aap ASSIGN type karde. ab aapki Drive show hone lagegi.. (see image below)

Computer me kisi bhi Drive ko Unhide kaise kare



Note:-use this trick as your own risk. aur agar aapne is trick ko bese hi kiya jaise humne upar bataya h to koi tension ki baat nhi h..

Unknown

About Unknown -

Hello everyone, My name is Shiva. I am the Founder of HowkaiseHindi. Here you can learn All Tech Info like as: Computer, Blogging, Android, Internet, How to, Latest Trending news, Gadgets Special Deals and Offers, Gadgets, etc. To know more about us Click Here

OH! You Like This Post, Humari Latest Post ki Notification Direct Apni Email Par Pane Ke Liye Free Subscribe Kare.

No comments